What is Ai
About Lesson

Machine Learning Kya Hai?

Machine Learning AI ka ek hissa hai jo AI ko naye cheezain seekhnay ki salahiyat deta hai. Jab AI naye data se seekhta hai, to usay Machine Learning kehtay hain. Machine Learning ki madad se AI waqt ke sath behtar hota jata hai aur naye tareeqon se problems solve karta hai.

Machine Learning Kaise Kaam Karta Hai?

  1. Data Ikatha Karo: Jaise agar aap AI ko cat aur dog ki tasveerain dikhao, to wo data ikattha karega.

  2. AI Train Karo: AI in tasveeron ko dekh kar farq samajhne ki koshish karega.

  3. AI Predict Karega: Jab aap ek naye janwar ki tasveer dikhao, to AI bata sakega ke ye cat hai ya dog.

  4. Self-Improvement: AI apni ghaltiyon se seekh kar waqt ke sath behtar hota jata hai.

Types of Machine Learning

  1. Supervised Learning: Jab AI ko labeled data diya jata hai, jisme answers pehle se maujood hote hain. Jaise AI ko sikha diya jaye ke “ye cat hai” aur “ye dog hai.”

  2. Unsupervised Learning: Jab AI bina labeled data ke khud patterns samajhne ki koshish karta hai.

  3. Reinforcement Learning: Jab AI reward aur punishment ke basis par seekhta hai. Jaise ek AI robot jo maze ke andar raste dhoondhne ka tareeqa seekhta hai.

 
WhatsApp us